• pictures

Thursday, April 22, 2010

Poetry

POSTED ON THE DEMAND OF 
MS.RABIA SALEEM 
(Pakistan)

KASH MAIN TERE HASEEN HATH KA
KANGAN HOTA by Wasi Shah






Tere ishq ki inteha chahta hoon!

ON THE DEMAND OF Mr.Zahid Khatak (Islamabad-Pak)  

Tere ishq ki intaha chaahata hoon
Meri saadgi dekh kya chaahata hoon
Sitam ho ki ho vaada-e-behijaabi
Koi baat sabr-aazama chaahata hoon
Yeh jannat mubarak rahe zaahidon ko
Ki main aap ka saamna chaahata hoon
Koi dam ka mehaman hoon aye ahal-e-mahfil
Chiraag-e-sahar hoon, bujha chaahata hoon
Bhari bazm mein raaz ki baat kah di
Bada be-adab hoon, saza chaahata hoon.


English Translation.
I want to have the extremes of your Love,
See, how silly am I, wishing for unachievable.
I don’t care if you maltreat me or promise to unveil your beauty,
I just want something unbearable to test my fortitude
Let the God fearing people be dwelling in the paradise,
For, instead I want to be face to face with you.
( I don’t want to go to paradise but want to observe the Divine Beauty)
O fellows, I am here for a few moments, as a gust,
Like morning star I will fade and vanish in a few moments.
I disclosed the secret in public,
I need to be punished for being so rude.


 Selected Gazal of Ms.Tahire Siddiqui
Ralawpindi-Pakistan

rukhsat hoa to meri baat maan ker gayaa
jo us k paas tha woh mujhay daan ker gaya


bichra kuch is ada sey k rut he badal gai
ek shakhs saray sheher ko weraan ker gaya



dil chusp waqiya hai k kal ek aziz dost
apne mufaad per mujhay qurbaan ker gayaa


kitni sudher gai hai judai main zindagi
haan woh jafa se to mujh per ehsaan ker gaya


AZHAR mai baat baat per kehta tha jisko jaan
woh shakhs aakhir mujhay bay jaan ker gaya

No comments:

Post a Comment