• pictures

Wednesday, April 28, 2010

Quotes Of Hazrat Ali (R.A)

Quotes Of Hazrat Ali
 
 

Koi mumliqat kufr ke saath to chal sakti hai magar naa insaafi ke saath nahi

Main ne allah ko apne iraadon ke totne se pehchana hai

Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua rad hojati hai to mujhe aur bhe ziada khushi hoti hai ke ye mere allah ki marzi nahi.

Tumhari woh khamoshe jis ke baad tumsey baat karney ke khawahish paida ho jaiey,tumharey uss kalam sey behtar ha jis ke baad tumko khamosh kar diya jaey.

Khoobsorati kaproun sey nai ilm o adab sey hoti ha

Har shakhash kei qeemat wo hunar ha jo uske ander ha
  
Tum kisi ko chaho or woh tumain thukra day to yah us ke bad nasibi hai. Or us k bad tum us ko zabardasti apnana chaho to yah tumheray nafs ki zillat hy.

Tum gulab ka phool ban jao q kay yah phool us kay hathoon main bhi kushbu chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.


Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy

Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.


Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.


Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.

Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay tu sadqa de ker allah se tijarat karo.

Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. Lekin apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.

Barish ka qatra seepi or sanp dono kay munah mein girta hai jab keh sanp ussay zehar bana deta hai aur seep usay moti. Jis ka jaisa "zarf" waisi uss ki "takhleeq"

Duniya tumhain us waqt tak nahi hara sakti jab tak tum khud se na haar jao.


Jo dukh day us se taluq na rakho aur jis se taluq na rakho usay dukh na do.


Insan gunah kerne ki waja se jahanum mein nhi jata bal keh gunah per mutmaen rehny aur tauba na krney ki waja se jahanum mein jata hy.


Jo tumhain khushi mein yad aye, samjo tum us se muhabbat karte ho or jo tumhain ghum mein yad aye to samjo wo tum sa muhabbat kerta hay


Acha dost kitni dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain

Insaan apni toheen muaaf kar sakta hai bhool nahi sakta!  

 kabhi na girna kamaal nahi bal'k gir k sanbhal jaana kamaal hai.!

Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.
Lekin...  Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.

Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen

Logoo ko usi tarha maaf karo jaisay tum khuda say umeed rakhtay ho k wo tumhay muaaf karega.
 Jab main dastar khuaan par 2 rang k khane dekhta hoon,to laraz jata hoon! K aaj phir kisi ka haq mara gaya hay

khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kr deti hai,laykin khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kr sakti "

jis shakhs k ache dost hon,woh kabhi ghareeb nahi hota

Agar tum mout ki raftar ko daikh laity to tum zaroor ummeedo'n or umango'n sy nafrat krty or hrgiz in me maghroor na hoty

 Insan narazgi khatam karny me pehl krta hy, to is ka ye matlab nahi k wo galat tha is ka matlab hy k usy anna syzyadarishtay aziz hain

Momin ki aadat hai kay wo khushi me shukr guzaar, takleef me sabr, aur khushhaali me apne malik se darta hai

Jab kohi momin apnay bhai ko sharminda karay to ye us say jodahi ka sabab ho ga

Agar towaqul sekhna hai tu paridon se sekho, ke wo jab sham ko wapis ghar jatay hain tu unn ki chonch main kal ke leyay koi dana nahi hota .

Hazrat ali(a.s) ne farmaya:- teen(3) insaan teen(3) cheezon se mahroom rehta hai..... 1-ghussay wala....durust faisalay se.. 2-jaldbaaz.....kamiyaabi se.. 3-jhoota....izzat se...

Subah ki neend insaan kay iraadon ko kamzoor kar deti hai"

Sadqe kay zarye rozi talab karo

kamyabi hoslo se milti hai hosle dosto se milte hai dost muqaddar se milta hai or muqaddar insaan khud banata hai

wo gham jis k milney pr tumhara ruju allah ki tarf ho jae , us khushi sa behter hay jis k milney pr tum apney khaliq ko bhool joa

Bhai or dost men sirf itna farq hai jesay sonay or heeray men......sona chahay jitni baar toro jurr jata hai lekin agar heera ek bar toot jaye to dobara jurr nahi pata

Jo shakhs sajdon me rota hai usay taqdeer pay rona nahi parta

apne rab ko na batao ke tumhari mushkil kitni bari hai....balkay apni mushkil ko batao k tumhara rab kitna bara hai

Jis par ehsaan karo to us ke shar se bucho

Ager tumhari aankh achi hai to tumko duniya achi lagay gi..lekin agar tumhari zubaan achi hai to tum duniya ko achay lago gay.

Jo tum chahte ho agar woh kam na ho to phr jis haal mein ho khush raho

Apne ilm ko jehaal aur apne yaqeen ko shak se na badlo...... Jab jan liya tou amal kro,, aur jab yaqeen peda ho gya tou agey barho

Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak se darwaza khul hi jata hai

Acha dost chahe jitna bhi bura ho dosti kabhi mat torna,kyun ke paani chahe jitna bhi gunda ho jaye aag bujhane ke kaam ataa hai

Khoobsurti kapron sey nahi ilm o adab sey hoti hai

Jab meri dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke allah ne meri dua puri ki. Aur jab meri dua radd hojati hai to mujhe aur bhi ziyada khushi hoti hai ke ye mere allah ki marzi nahi

Humesha such bolo taake tumhein qasam khaane ki zaroorat na paare

jis shaks ne apna raaz kisi ko bata diya wo us ka mohtaaj ho gaya

kabhi apne dost ki sachai ka imtehaan na lo, kiya pata us waqt woh majboor ho aur tum ek acha dost kho betho"

Allah ne farishto'n ko sirf aqal di hy magr khawahishat nahi de hain. Aur janwaroo ko khawahishat de hai magr aqal nahi de hy aur insan ko ye dono chizain de hain. Lihaza jis ki aqal us k khawahish pe galib aajaye wo farishtoo se behtar hai

Dunyia main wo he log sarbuland rehty hain jo takabur ke taj ko dor pheank dety hain

Koshish karo ke tum dunya main raho dunya tum main na rahe kyonki kashti jab tak paani main rehti hai khoob terti hai jab paani kashti main aajata hai to wo doob jaati hai....

Yeh zindagi 2 din ki hai --------1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif
jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.

Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay

Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay

Jab tumhain mehsus ho k tumhari tabiyat ko zikr-e-khuda sy muhabat ho gae hay....to samjho khuda tumhain pasand karta hay..

Jab main chahta hun k khuda sy bat karun..to main nimaz parhta hun..aur jab main chahta hun k khuda mujh sy bat karay to me quran parhta hun...

Zindagi ustad se ziada sakht hoti hai, ustad sabaq de kr imtehan leta hai aur zindagi imtehan le kr sabaq deti hai.

18 golden words of hazrat ali(a.s)

3 chizon ka ahtraam kro:
ustaad---waaldain---buzurg
3 ko sath rakho:
sachaai---emaan---naiki
3 chizon ko yaad rakho:
ahsaan---nasehat---maut
3 chizon k ley laro:
watan---izat---haq
3 chizon pe qaabu rakho:
zubaan---ghussa---nafs
3 chizon s bacho:
buraai---chughli---hasad
 
    Dunya uss ko yateem samhajti hai jiss ke MAA-BAAP na hon, Magar main uss ko yateem              samhajta hon jiss ke achay dost na hon.
 
    Insan zuban ke parday main chupa hai.

1 comment: